SONG: Zindagi Khawab Hai, Khvaab Me Jhuth Kya Aur Bhala Sach Hai Kya - ज़िंदगी ख़्वाब है, ख़्वाब में झूठ क्या और भला सच है क्या

Zindagi Khawab Hai, Khvaab Me Jhuth Kya Aur Bhala Sach Hai Kya - ज़िंदगी ख़्वाब है, ख़्वाब में झूठ क्या और भला सच है क्या

LYRICS:
rangi ko naarangi kahe, bane dudh ko khoya chalti ko gaadi kahe, dekh kabira roya zindagi khwaab hai, khwaab me jhuth kya aur bhala sach hai kya zindagi khwaab hai, khwaab me jhuth kya aur bhala sach hai kya, sab sach hai zindagi khwaab hai dil ne hamse jo kaha, hamne vaisa hi kiya dil ne hamse jo kaha, hamne vaisa hi kiya fir kabhi fursat se sochege bura tha ya bhala zindagi khwaab hai, khwaab me jhuth kya aur bhala sach hai kya zindagi khwaab hai
ek katra may ka jab, patthar ke hotho par pada ek katra may ka jab, patthar ke hotho par pada uske sine me bhi dil dhadka ye usne bhi kaha, kya zindagi khwaab hai, khwaab me jhuth kya aur bhala sach hai kya zindagi khwaab hai ek pyaali bhar ke maine, gam ke maare dil ko di ek pyaali bhar ke maine, gam ke maare dil ko di zahar ne maara zahar ko, murde me phir jaan aa gai zindagi khwaab hai, khwaab me jhuth kya aur bhala sach hai kya zindagi khwaab hai, khwaab me jhuth kya aur bhala sach hai kya, sab sach hai