Yeh Kya Hua Hai (Unplugged) - कुछ पलो से ये दिल कही भी लगता नहीं हैं
LYRICS:
oo... ha...
kuch palon se yeh dil
kahin bhi lagta nahi hai
main kahin pe hoon
aur yeh mera dil kahin hai (x2)
soch raha hoon kya ho gaya hai
jaadu sa mujh pe koi chal gaya hai
yeh kya hua hai dil kho gaya hai (x2)
o ho...
jaane kaun sa rasta dil ne hai chun liya
jaane aankhon ne kaun saa khwab hai bun liya
bekhayali udhar bhi hai hai wahi maazra
raabta do dilon ka pyaar se hai bhara
haan soch raha hoon kya ho gaya hai
jaadu sa mujh pe koi chal gaya hai
yeh kya hua haidil kho gaya hai (x2)
oo... ha..
haan baat iss pal ki agle pal
yaad aati nahin
kuch pata na chale mujhe kya galat, kya sahi
o.. ja raha tha kahin magar raste mud gaye
tum jahaan the khade ussi mode se jud gaye
haan soch raha hoon kya ho gaya hai
jaadu sa mujh pe koi chal gaya hai
yeh kya hua hai dil kho gaya hai (x2)
oo... ha..