SONG: Ye Sar Rahe Na Tan Rahe - ये सर रहे ना तन रहे

Ye Sar Rahe Na Tan Rahe - ये सर रहे ना तन रहे

LYRICS:
ye sar rahe na tan rahe ye, sar rahe na tan rahe magar tera vatan rahe, vatan ke sarfarosh chal vatan pe sar nisaar kar ye sar rahe na tan rahe badhega tu kadam kadam tera vatan teri kasam ye kah raha hai dam pe dam vatan ki aan jeet le tu jindagi ko haar kar tu jindagi ko haar kar vatan ke sarfarosh chal vatan pe sar nisaar kar ye sar rahe na tan rahe ye hausale ye himmaten, ye balbale ye taakaten badal ke aaj kismate khuda se chhin le chaman gulo ko apne pyaar kar gulo ko apne pyaar kar vatan ke sarfarosh chal vatan pe sar nisaar kar ye sar rahe na tan rahe ye gair ko salaam kyun ye jindagi gulaam kyun ye kaid subah shaam kyun kuchal de jaalimo ke sar ye bediyaan utaar kar ye bediyaan utaar kar vatan ke sarfarosh chal vatan pe sar nisaar kar ye sar rahe na tan rahe sada hai har jawaan ki laga de baaji jaan ki na aabru nishaan ki, kafan ko sar se baandh kar tu dushmano pe waar kar tu dushmano pe waar kar vatan ke sarfarosh chal vatan pe sar nisaar kar ye sar rahe na tan rahe magar tera vatan rahe, vatan ke sarfarosh chal vatan pe sar nisaar kar ye sar rahe na tan rahe