SONG: Ye Kaun Aayaa, Roshan Ho Gai Mahfil Kiske Naam Se - ये कौन आया, रोशन हो गई महफ़िल किसके नाम से

Ye Kaun Aayaa, Roshan Ho Gai Mahfil Kiske Naam Se - ये कौन आया, रोशन हो गई महफ़िल किसके नाम से

LYRICS:
ye kaun aaya, roshan ho gai mahfil kiske naam se ye kaun aaya ye kaun aaya, roshan ho gai mahfil kiske naam se mere ghar me jaise suraj nikla hai shaam se ye kaun aaya yaade hai kuchh aai si, yaa kirane laharaai si yaa kirane laharaai si dil me soye gito ne li hai phir agadaai si armaano ki madiraa chhalke ankhiyo ke jaam se ye kaun aaya, roshan ho gai mahfil kiske naam se mere ghar me jaise suraj nikla hai shaam se ye kaun aaya aahat pe halki halki, chhati dhadke payal ki aahat pe halki halki, chhati dhadke payal ki har gori se naam uska, lahre puchhe aanchal ki chhupke chhupke radha koi puchhe apne shyam se ye kaun aaya kyaa kahiye is aane ko, aaya hai tarsane ko aaya hai tarsane ko dekha usne hans hans ke, har apne begane ko lekin kitna beparvah hai, mere hi salaam se ye kaun aaya, roshan ho gai mahfil kiske naam se mere ghar me jaise suraj nikla hai shaam se ye kaun aaya