SONG: Ye Daulat Bhi Lelo - ये दौलत भी लेलो

Ye Daulat Bhi Lelo - ये दौलत भी लेलो

LYRICS:
ye daulat bhi lelo ye shoharat bhi lelo bhale chhen lo mujhse meri jawani ye daulat bhi lelo ye shoharat bhi lelo bhale chhen lo mujhse meri jawani magar mujhko lota do bachpan ka sawan wo kagaz ki kasti wo barish ka pani wo kagaz ki kasti wo barish ka pani mahule ki sabse purani nishani wo budhya jise bacche kahete the nani mahule ki sabse purani nishani wo budhya jise bacche kahete the nani wo nani ki baato me pariyo ka dera wo chehre ki jhuriyo ka sadiyo ka fehra bhulaye nahi bhul sakta hai koi bhulaye nahi bhul sakta hai koi wo choti si raat wo lambi kahani wo choti si raat wo lambi kahani kadi dhup me apne ghar se nikalna wo chidiya wo bulbul titli pakadna wo gudiya ki shadi me ladna jhagdna wo jhule se girna girke sambhalna wo peetal ke chhalo ke pyare se tofe wo peetal ke chhalo ke pyare se tofe wo tuti hui chudiyo ki nishani wo tuti hui chudiyo ki nishani kabhi ret ke unche teelo pe jana kabhi ret ke unche teelo pe jana gharonde banana banake mitana wo mausum chahat ki tasveer aapni wo khawabo khilono ki jaagir apni na duniya ka karm tha na rishto ka bandhan na duniya ka karam tha naa rishto ka bandhan badi khubsurat thi wo zindagaani badi khubsurat thi wo zindagaani