SONG: Ye Chand Sitare Kya Jane - ये चाँद सितारे क्या जानें

Ye Chand Sitare Kya Jane - ये चाँद सितारे क्या जानें

LYRICS:
ye chaand-sitaare kyaa jaane is dil ke sahaare toot gaye aankhon se kisi badkismat ki kitne hi sitaare toot gaye ye chaand-sitaare kyaa jaane takdeer ki zaalim maujon ne afsos duboya laa ke kahaan takdeer ki zaalim maujon ne afsos duboya laa ke kahaan saahil se lagi jyunhi kashti maujon se kinaare chhut gaye aankhon se kisi badkismat ki kitne hi sitaare toot gaye ye chaand-sitaare kyaa jaane ulfat ka chaman sunsaan huaa ulfat ka chaman sunsaan huaa veeraan mera armaan huaa barbaad huyi dil ki duniyaa sab khwaab hamaare toot gaye aankhon se kisi badkismat ki kitne hi sitaare toot gaye ye chaand-sitaare kyaa jaane is dil ke sahaare toot gaye aankhon se kisi badkismat ki kitne hi sitaare toot gaye ye chaand-sitaare kyaa jaane