SONG: Ye Bhi To Insaan - तुम भी तो इंसान

Ye Bhi To Insaan - तुम भी तो इंसान

LYRICS:
tum thekedar bane baithe ho dharm ki in dukan par insaan ko jo samjhe achhut lalach kise insano par lalach kise insano par ye bhi to insaan, ishaa ki santan ye hamse rakhte chhua chhut kyun tum pavitr hunm achhut kyu ye bhi to insaan, ishaa ki santan unch nich ka ye bhed bhaw chhod ke ham rahenge aaj ye divar tod ke jiske dwar band hain, us ram ki kasam ab na koi kar sakega hampe ye sitam chal pada jahan gandhi ka le vardan ye hamse rakhte chhua chhut kyun tum pavitr ye achhut kyun ye bhi to insaan, ishaa ki santan badal gayi ye kudrat kyun hamse aisi nafrat kyun badal gayi ye kudrat kyun hamse aisi nafrat kyun chhote bade samjhne wale badhti jati adat kyun raam ke mandir me ja sakta chuha billi kauwa par sidhi bhi chhu na sakta ye insaan ka hauwa ham papi aur tum dharmi kyun iska hame javab do ham sevak aur tum swami kyun iska hame javab do ham pathar aur tum moti kyun iska hame javab do ham achhut aur tum moti kyun iska hame javab do javab do, javab do ham pavitr aur tum achhut kyun iska hame javab do javab do, javab do ye bhi to insaan, ishaa ki santan fir inse rakhte chhua chhut kyun tum pavitr ye achhut kyu ye bhi to insaan, ishaa ki santan ye pavan agan gagan sabhi ke waste fir bhi kyu alag alag hamare raste inko chhuna paap hain ye kya kamal hain inka bhi to apane jaisa khun laal hain inko to pahchan, inme wohi jaan hain fir inse rakhte chhua chhut kyun tum pavitr ye achhut kyu ye bhi to insaan, ishaa ki santan inke puja ka tilak lagaya shyam ne inke sabri ke chakhe the ber ram ne inke liye tadap uthi gandhi ki aatama inko gale lagake wo bane mahatma maan ya maan inme hain bhagvaan fir inse rakhte chhua chhut kyun tum pavitr ye achhut kyu ye bhi to insaan, ishaa ki santan tum jhuth muth hi rijh rahe ho pathar ke bhagwano par nafrat ke teer chalate ho tum in garib insano par tum traskar ka namak chhidakte inke ghayal praano par inke murde jalne na dete tum apane shamsano par jo inhe dalit kahe ghrina kare to thu aise viddwano par jo inhe shatru kahe thukraye dhikkar hain aise purano par ye hain bejuban bhagwan me mehman fir inse rakhte chhua chhut kyun tum pavitr ye achhut kyu ye bhi to insaan, ishaa ki santan fir inse rakhte chhua chhut kyun tum pavitr ye achhut kyu