SONG: Yahi Hai Tamanna Tere Dar Ke Samane - यही है तमन्ना तेरे दर के सामने

Yahi Hai Tamanna Tere Dar Ke Samane - यही है तमन्ना तेरे दर के सामने

LYRICS:
yahi hai tamanna tere dar ke samne meri jaan jaaye, meri jaan jaaye hay yahi hai tamanna tere dar ke samne meri jaan jaaye, meri jaan jaaye, hay tere dar pe aaya to bas aa gaya main na pichhe hatunga jamane ke darse abhi aa raha hu abhi kese jau mila kya hai mujhko abhi tere dar se jara dekh lu main yeh rukh ke bahare yeh kad pyara pyara yeh julfon ke saye hay yahi hai tamanna tere dar ke samne meri jaan jaaye, meri jaan jaaye, hay gila hai yehi mujhko tere khuda se hasin jisne itna banaya hai tujhko na aata kabhi teri galiyo mein zaalim tere husn ne khud bulaya hai mujhko jalakar koi shamma kaise kahega ke dekho yaha par na parwana aaye hay yahi hai tamanna tere dar ke samne meri jaan jaaye, meri jaan jaaye, hay mohabbat mein teri agar maut aaye toh woh maut kitni hasin maut hogi kisi roz main tera daaman pakadkar jo mar jau kyaa dilnashin maut hogi agar koi aisi ghadi aa rahi hai toh meri dua hai woh jaldi se aaye hay yahi hai tamanna tere dar ke samne meri jaan jaaye, meri jaan jaaye, hay