SONG: Woh Subah Kabhi To Aayegi - वो सुबह कभी तो आयेगी

Woh Subah Kabhi To Aayegi - वो सुबह कभी तो आयेगी

LYRICS:
daulat ke liye jab aurat ki,ismat ko na becha jayega chahat ko na kuchla jayega gairat ko na becha jayega apni kali kartuto par jab ye duniya sharmayegi wo subah kabhi to aayegi, wo subah kabhi to aayegi bitege kabhi to din aakhir ye bhukh ke aur bekari ke tutege kabhi to budh aakhi daulat ki ijaaradaari ke jab ek anokhi duniyaa ki buniyaad uthaai jayegi wo subah kabhi to aayegi, wo subah kabhi to aayegi majabur budhaapaa jab suni raho me dhul na phakega maasum ladakapan jab gandi galiyo me bhikh na mangega hak maangne valo ko jis din suli na dikhai jayegi wo subah kabhi to aayegi, wo subah kabhi to aayegi