SONG: Woh Subah Kabhi To Aayegi - 2 - वो सुबह कभी तो आयेगी

Woh Subah Kabhi To Aayegi - 2 - वो सुबह कभी तो आयेगी

LYRICS:
wo subh kabhi to ayegi, wo subh kabhi to ayegi in kaali sadiyo ke sar se, jab raat ka anchal dhalkega jab dukh ke badal pighlenge, jab sukh ka sagar chhalkega jab ambar jhum ke nachega, jab dharti nagme gaayegi wo subh kabhi to ayegi, wo subh kabhi to ayegi jis subh ki khatir yug yug se hum sab mar mar kar jeete hai jis subh ki amrit ki dhun mai hum zaher ke pyale peete hai bhukhi payasi ruho par ek din to karam farmayegi wo subh kabhi to ayegi, wo subh kabhi to ayegi tere mere armano ki kimat kuch bhi nahi mitti ka bhi hai kuch mol magar insano ki kimat kuch bhi nahi insano ki izzat jab juthe sikko mai na toli jayegi wo subh kabhi to ayegi, wo subh kabhi to ayegi