SONG: Wo Shaam - वो शाम भला अब क्यूँ यादो से नहीं जाती

Wo Shaam - वो शाम भला अब क्यूँ यादो से नहीं जाती

LYRICS:
wo shaam bhala ab kyu yaado se nahi jaati wo shaam bhala ab kyu yaado se nahi jaati kadmo ki tere aahat raaho se nahi jaati wo shaam bhala ab kyu yaado se nahi jaati wo shaam bhala ab kyu aur phir meri pukar sehraao ki aawaz ban gayi lekin ab achanak is shise ki diwar me ek darar pad gayi ab hum ek dusre ki aawaz sun paa rahe hai lekin milna tasavvur me nahi samaata hamari aawaze kya sada yunhi bhatka rahi hai kya hamare kadam ghaas ke kisi farsh par kabhi ek saath uth sakenge kya hum kabhi kisi sahil ki ret par baithkar samundar ki lehro ko khamoshi se sun sakenge aur kya hum kabhi apne chehro par ek dusre ki saanso ki aawaz mehsus kar sakenge, nahi na phir tum kyu mere andar utarti ja rahe ho phir kyu katra katra pighalte ja rahe ho mujhme jis din tere hontho ne honth mere chume jis din tere hontho ne honth mere chume saanso ki tere garmi saanso ki tere garmi saanso se nahi jaati saanso ki tere garmi saanso se nahi jaati kadmo ki tere aahat raaho se nahi jaati wo shaam bhala ab kyu wo shaam bhala ab kyu, wo shaam