SONG: Wo Din Kidhar Gaye Kaho - वो दिन किधर गये कहो

Wo Din Kidhar Gaye Kaho - वो दिन किधर गये कहो

LYRICS:
wo din kidhar gaye kaho wo din kidhar gaye wo din kidhar gaye kaho wo din kidhar gaye ankho ne jab sunai thi ulfat ki dastan duniya meri jawan thi aabad tha jahan ab kyun jala ke chhod diya mera ashiyan kyun zindagi ko lut ke barbad kar gaye wo din kidhar gaye wo din kidhar gaye kaho wo din kidhar gaye aaya meri wafa ka na tumko khayal kyun tumse chupa hua hai mere dil ka hal kyun pucho na mujhse hay ke dil hai nidhal kyun kaise zamane aaye aur aa kar guzar gaye wo din kidhar gaye wo din kidhar gaye kaho wo din kidhar gaye kyun pyar karke bhul gaye pyar ka chlan kya ho gai wo shama se parwane ki lagan ab mai hi aur mera ujdta hua chaman arman dil ke dil hi me sab ghut ke mar gaye wo din kidhar gaye wo din kidhar gaye kaho wo din kidhar gaye