SONG: Viraaniya (Mehfil Mix) - वीरानियां

Viraaniya (Mehfil Mix) - वीरानियां

LYRICS:
un dino jab ke tum the yahaan zindagi jaagi jaagi si thi saare mausam bade mehraba dost the raaste dawatname the jo manjilo ne likhe the jamin par hamaare liye ped baahein pasaarein khade the hame chanv ki swal pehnane ke waste sham ko sab sitare bahot muskurate the jab dekhate the hame aati jaati hawaye koi geet khushboo ka gati huyi chhedati thi guzar jaati thi aasama pigle neelam ka ek gehra taalab tha jisme har raat ek chand ka phool khilta tha aur pigle neelam ki leharo mein behta hua wo hamare dilo ke kinaaro ko chhu leta tha un dino jab ke tum the yaha mohabat meri jo pyasi hui to gehri meri udasoi hui zindagi zindagi mein hai tum bin yah viraniyaa yah viraniya yah viraniya zindagi zindagi mein hai tum bin yah viraniya yah viraniya yah viraniya ashko mein jaise dhul gaye sab muskuraate rang raste mein thak ke so gayi maasum si umang dil hai ki phir bhi khwaab sajaane ka shauk hai paththar pe bhi gulaab ugaane ka shauk hai barso se yun to ek amawas ki raat hai ab isako hausala kahoon ki jidd ki baat hain dil kehta hai andhere mein bhi roshani to hai maana ke raakh ho gaye ummid ke lau is raakh mein bhi aag kahi par dabi to hai sune sune sare raste hai suni manzil hai jana suni suni si meri aankhe hai suna ye dil hai jana jana jana jana jana jana jana jana jana jana mujhe gehre hai sirf tanhaiya mere dil mein hai sirf khamoshiya zindagi zindagi mein hai tum bin yah viraniya yah viraniya aapki yaad kaise aayegi aap ye kyu samajh na paate hai yaad to sirf unki aati hai hum kabhi jinko bhool jate hai saans jab lu to sene mein jaise saans chubhti hai jana dil ab tak ummed ki ek fans chubhti hai jana jana jana jana jana jana jana jana jana jana jana jana jana khwab sare mere tutne hi ko hai tinke bhi haaath se chutne hi ko hai zindagi zindagi mein hai tum bin yah viraniya yah viraniya yah viraniya yah viraniya yah viraniya