SONG: Utho Ke Hame Waqt Ki Gardish Ne Pukara - उठों की हमे वक्त की गर्दिश ने पुकारा

Utho Ke Hame Waqt Ki Gardish Ne Pukara - उठों की हमे वक्त की गर्दिश ने पुकारा

LYRICS:
utho ke hume waqt ki gardish ne pukara utho ke hume waqt ki gardish ne pukara utho ke hume waqt ki gardish ne pukara kahti hai ye raundi hui raahen, idhar aao majbur hai khamosh nigaahe, idhar aao ruthe hue honth aur ye aanhe, idhar aao kuchli hui basti ko mile koi sahara kuchli hui basti ko mile koi sahara utho ke hume waqt ki gardish ne pukara utho ke hume waqt ki gardish ne pukara hanste hue kheto me uge dhup ke paudhe rote hue shehro me bilakhte hue bacche insaan ke bete ka lahu insaan nahi puchhe kab tak bhala hoga ye jamane ko ganvara kab tak bhala hoga ye jamane ko ganvara utho ke hume waqt ki gardish ne pukara utho ke hume waqt ki gardish ne pukara insaan ke elaan se duniya ko jaga de sukhe hue hontho ko naye raag sikha de tahzib ki laasho me nayi jindgi bhar de kuchle hue insaano ko insaan bana de kuchle hue insaano ko insaan bana de utho ke dubo de na kahi waqt ki dhara utho ke dubo de na kahi waqt ki dhara utho ke hume waqt ki gardish ne pukara utho ke hume waqt ki gardish ne pukara jaagi hui raahe nayi manjil ko badhengi jaagi hui raahe nayi manjil ko badhengi har dil ko naye josh se aabaad karengi har dil ko naye josh se aabaad karengi khaamosh nigaahe nahi khaamosh rahengi khaamosh nigaahe nahi khaamosh rahengi aazaad hai, aazaad hai, aazaad rahenge aazaad rahenge, aazaad rahenge marna bhi humara hai to jeena bhi humara marna bhi humara hai to jeena bhi humara utho ke hume waqt ki gardish ne pukara utho ke hume waqt ki gardish ne pukara utho ke hume waqt ki gardish ne pukara