SONG: Utho Behno, Kali Banke - उठो बहनों, काली बनके

Utho Behno, Kali Banke - उठो बहनों, काली बनके

LYRICS:
nari ek aag hai nari ek shola hai ye shola fir se bhadka hai jo dunia ko jala dega utho bahno jago bahno utho bahno jago bahno bagawat julm ke tufa se karna hai hamko sada izzat se jine ke liye marna hai hamko kali banke aao durga banke aao kali banke aao durga banke aao utho bahno jago bahno utho jago chalo bahno hame to banke sita shan se jina hai bahno rani jhasi ki tarah aan se jina hai bahno hame to banke sita shan se jina hai bahno rani jhasi ki tarah aan se jina hai bahno mitake pap ki dunia kuchal ke rawno ko hamesha satya or iman se jina hai bahno kali banke aao durga banke aao kali banke aao durga banke aao utho bahno jago bahno utho jago chalo bahno ham apna sar kabhi sansar me jhukne na denge masale jindagi leke sada aage badhenge pahanli chudiya mardo ne iska gum nahi hai hum apni abru ki aap hi raksha karenge kali banke aao durga banke aao utho bahno jago bahno bagawat julm ke tufa se karna hai hamko sada izzat se jine ke liye marna hai hamko