SONG: Unhei Qissaa-E-Gham Jo Likhane Ko Baithe To Dekhe Kalam Ki Ravani (Male) - उन्हें किस्सा-ए-ग़म लिखने को बैठे तो देखे कलम कि रवानी

Unhei Qissaa-E-Gham Jo Likhane Ko Baithe To Dekhe Kalam Ki Ravani (Male) - उन्हें किस्सा-ए-ग़म लिखने को बैठे तो देखे कलम कि रवानी

LYRICS:
unhe kissa-e-gham likhane ko baithe to dekhe kalam ki ravani me aansu ye anmol tare, ye ulfat ke moti unhe humne bheje nishani me aansu unhe hum kahani sunane na paye unhe daag dil ke dikhane na paye ye aansu humare bade kaam aaye jubaa ban gaye bejubani me aansu na samjho ki aansu hai gham ki kahani ye aansu hai ulfat ki pahli nishaani mukadar ke katil ka itna karam hai ke likhe hai meri kahani me aansu unhe kissa-e-gham jamane me taqdeer sab ki juda hai tujhe kuch mila hai mujhe kuch mila hai udhar hai teri jindgani me khushiya idhar hai meri jindgani me aansu unhe kissa-e-gham likhane jo baithe to dekhe kalam ki ravani me aansu