SONG: Un Ka Andaze Karam - उनके अंदाजे करम

Un Ka Andaze Karam - उनके अंदाजे करम

LYRICS:
unke andaaz-e-karam un pe wo aana dil ka haye wo waqt wo baateñ wo zamana dil ka na suna us ne tawajjo se fasana dil ka umr guzri hai magar dard na jana dil ka kuchh nayi baat nahi husn pe aana dil ka mashghala hai ye nihayat hi purana wala wo mohabbat ki shuruaat wo be tahasha khushi dekh kar unko wo phoole na samaana dil ka dil lagi dil ki lagi ban ke mita deti hai roug dushman ko bhi ya rab na lagana dil ka ek to mere muqaddar ko bigaada usne aur phir uspe ghazab hañs ke banana dil ka mere pahlu mein nahi aap ki mutthi meiñ nahi be thikaane hai bahut din se thikana dil ka wo bhi apne naa hue dil bhi gaya haatho se aise aane se to behtar tha na aana dil ka khoob haiñ aap bahut khoob! magar yaad rahe zeib deta nahi aisoñ ko sataana dil ka be jhijhak aa ke milo hañs ke milao aañkhe aao ham tum ko sikhaate hain milaana dil ka naqsh bar aab nahi wahm nahi khwab nahi aap kyuñ khel samajhte hain mitaana dil ka hasrateñ khaak hui mit gaye armaañ sare lut gaya koocha-e-jaanañ mein khazana dil ka le chala hai mere pahlu se ba-sad shouq koi ab to mumkin hi nahin laut ke aana dil ka unki mehfil mein naseer unke tabassum ki qasam dekhte reh gaye ham haath se jana dil ka