SONG: Ulfat Kaa Rastaa Hai - उल्फत का रास्ता है

Ulfat Kaa Rastaa Hai - उल्फत का रास्ता है

LYRICS:
ulfat ka rasta hai manzil ki hai talash hichkole khati kishti ko sahil ki hai talash aur mujhko mere khoye huye dil ki hai talash accha hota jo dil me tu aaya na hota haye rulana tha agar to hansaya na hota tu aaya na hota accha hota jo dil me tu aaya na hota haye rulana tha agar to hansaya na hota tu aaya na hota chhodke agar sath jana tha ek din chhodke agar sath jana tha ek din to ulfat ka rasta mujhko dikhaya na hota tu aaya na hota accha hota jo dil me tu aaya na hota basai thi nigaho me tasveer kyu meri basai thi nigaho me tasveer kyu meri yu najro se apni phir giraya na hota tu aaya na hota accha hota jo dil me tu aaya na hota khiza hi jab lani thi humare chaman me khiza hi jab lani thi humare chaman me to phulo se gulshan ye sajaya na hota tu aaya na hota accha hota jo dil me tu aaya na hota haye rulana tha agar to hansaya na hota tu aaya na hota