SONG: Tumhe Sunaye Ek Kahani - तुम्हें सुनाये एक कहानी

Tumhe Sunaye Ek Kahani - तुम्हें सुनाये एक कहानी

LYRICS:
tumhe sunaye ek kahani tumhe sunaye ek kahani hai ye badi suhani prem nagar me aake utri roop nagar ki rani ho roop nagar ki rani mast adaye nain katari mast adaye nain katari nikhri hui jawani aisa uska roop suhana duniya hui diwani ho duniya hui diwani is nagri me us sahjadi ne kiya jab thikana ek sahjada dekh ke usko ek sahjada dekh ke usko bahut hua diwana us par kiya nauchhavar usne apna mal khazana dekho kismat bat ko kaise karti hai afsana ho karti hai afsana tumhe sunaye ek kahani tumhe sunaye ek kahani hai ye badi suhani prem nagar me aake utri roop nagar ki rani ho roop nagar ki rani phir sahjade ne uske kadmo pe shish jhukaya usne apna pyara jiwan usne apna pyara jiwan usko bhet chadaya sama ko dekh ke tab parwana jalne se ghabraya kya jane ye pagli duniya use maja kya aaya ho use maja kya aaya tumhe sunaye ek kahani tumhe sunaye ek kahani hai ye badi suhani prem nagar me aake utri roop nagar ki rani ho roop nagar ki rani