SONG: Tumhaaraa Chaahane Vaalaa Khudaa Ki Duniyaa Men - तुम्हारा चाहने वाला खुदा की दुनिया में

Tumhaaraa Chaahane Vaalaa Khudaa Ki Duniyaa Men - तुम्हारा चाहने वाला खुदा की दुनिया में

LYRICS:
tumhara chahane vala khuda ki duniyaa me mere siva bhi koi aur ho khuda na kare tumhara chahane vala khuda ki duniyaa me mere siva bhi koi aur ho khuda na kare tumhara chahane vala khuda ki duniyaa me ye baat kaise gavara karega dil mera tumhara zikr kisi aur ki zuban pe ho tumhare husn ki tarif aaina bhi kare to mai tumhari qasam hai ke tod dun usko tumhare pyar tumhari adaa ka divana mere siva bhi koi aur ho khuda na kare tumhara chahane vala khuda ki duniyaa me vo din na aaye ke mujhse kabhi juda hokar kisi ka pyar dobara kahi talash karo jhuka ke sar ko kisi ajnabi ke shano par tum apne gam ka sahara kahi talash karo karib dil ke tumhare kisi bhi halat me mere siva bhi koi aur ho khuda na kare tumhara chahane vala khuda ki duniyaa me tumhare dil ko kahi mujhse kabhi thes lage mujhe yakin hai aisa kabhi nahi hoga mujhe vafao pe apni bada bharosa hai tumhara pyar hi de jaye na kahi dhokha dua ye hai ke tumhara khuda ki duniya me mere siva bhi koi aur ho khuda na kare tumhara chahane vala khuda ki duniyaa me mere siva bhi koi aur ho khuda na kare