SONG: Tum Ishk Ki Mahfil Ho - तुम इश्क़ की महफ़िल हो

Tum Ishk Ki Mahfil Ho - तुम इश्क़ की महफ़िल हो

LYRICS:
tum ishk ki mafil ho tum husn kaa jalva ho ya saaj-e-mohabbat par chheda huwa nagma ho ek baar phir kaho jara ek baar phir kaho jara shayir ho musavvir ho maalum nahi kya ho lagta hai mujhe aisa tum meri tamnna ho ek baar phir kaho jara ek baar phir kaho jara julfe hain ghata jaisi chehra hai kamal jaisa marmar kaa badan pyaara marmar kaa badan pyaara hai taajmahal jaisa jaise tumhe kudrat ne haatho se banaaya ho haatho se banaaya ho tum ishk ki mahfil ho tum husn kaa jalva ho ya saaj-e-mohabbat par chheda huwa nagma ho ek baar phir kaho jara ek baar phir kaho jara tum kya mile ulfat ki tasvir najar aayi mujhko mere kwaabo ki taabir najar aayi bharta nahi dil jisse tum aisa najara ho tum aisa najara ho shayir ho musavvir ho maalum nahi kya ho lagta hai mujhe aisa tum meri tamanna ho ek baar phir kaho jara ek baar phir kaho jara