SONG: Tum Apni Yaad Bhi Dil Se Bhula Jaate To Achchha Tha - तुम अपनी याद भी दिल से भुला जाते तो अच्छा था

Tum Apni Yaad Bhi Dil Se Bhula Jaate To Achchha Tha - तुम अपनी याद भी दिल से भुला जाते तो अच्छा था

LYRICS:
tum apni yaad bhi dil se bhula jaate toh achchha tha yeh do aansu lagi dil ki bujha jaate toh achchha tha mere araman bhi le jaate, meri hasrat bhi le jaate mere araman bhi le jaate, meri hasrat bhi le jaate najar se chhin kar apni hasin surat bhi le jaate andhere aur in aankho me chha jaate toh achchha tha tum apni yaad bhi dil se bhula jaate toh achchha tha mere dil ki muhabbat ka yakin kab tum ko aaya tha mere dil ki muhabbat ka yakin kab tum ko aaya tha jaha sau julm dhaaye the, jaha dil ko mitaaya tha mujhe bhi apne haatho se mita jaate toh achchha tha yeh do aansu lagi dil ki bujha jaate toh achchha tha mera dil pher de meri nishaani pherne waale mera dil pher de meri nishaani pherne waale jo mumkin ho toh lauta do meri aahe mere naale jo mumkin ho toh lauta do meri aahe mere naale ham apne dil ka khoya chain pa jaate toh achchha tha yeh do aansu lagi dil ki bujha jaate toh achchha tha