SONG: Tum Akele To Kabhi Bagh Mein Jaya Na Karo - तुम अकेले तो कभी बाग में जाया ना करो

Tum Akele To Kabhi Bagh Mein Jaya Na Karo - तुम अकेले तो कभी बाग में जाया ना करो

LYRICS:
tum akele to kabhi baag me jaya na karo tum akele to kabhi baag me jaya na karo aaj kal phool bhi dilwale hua karte hai koyi kadmo se lipat baitha to phir to phir kya hoga, to phir kya hoga tum akele to kabhi baag me jaya na karo tum akele to kabhi baag me jaya na karo aaj kal kaliya badi shokh hua karti hai koyi shokhi pe utar aayi to phir to phir kya hoga, to phir kya hoga tum akele to kabhi baag me jaya na karo tum kabhi zulf ko chehre pe giraya na karo tum kabhi zulf ko chehre pe giraya na karo baz dil wale bhi kamzor hua karte hai koyi nagin jo samjh baitha to phir to phir kya hoga, to phir kya hoga mehfil e husn ki chilman ko uthaya na karo mehfil e husn ki chilman ko uthaya na karo bijliyan kali ghatao me chhupi hoti hai koyi chupke se chamak jaye to phir to phir kya hoga, to phir kya hoga tum akele to kabhi baag me jaya na karo tum kabhi ankh me kaajal bhi lagaya na karo tum kabhi ankh me kaajal bhi lagaya na karo inhin ankhon ke jaricho me to ham baste hai sath kaajal ke jo bah nikle to phir to phir kya hoga, to phir kya hoga, hay hoy husn walo ke muqabil kabhi aaya na karo husn walo ke muqabil kabhi aaya na karo sharbati ankho ke doro me nasha hota hai bin piye hi jo bahak jao to phir to phir kya hoga, to phir kya hoga tum akele to kabhi baag me jaya na karo dekho angadayi ko bhi baahe uthaya na karo dekho angadayi ko bhi baahe uthaya na karo aaj tak chaand ke daman ko na pahuncha koi chaand ghabra ke jo gir jaye to phir to phir kya hoga, to phir kya hoga tum khayalo ki ye tasvire banaya na karo tum khayalo ki ye tasvire banaya na karo ret par dur se pani ka ghuma hota hai umr bhar pyaas na bhujh payi to phir to phir kya hoga, to phir kya hoga tum akele to kabhi baag me jaya na karo tum to aaine se bhi aankhe milaya na karo tum to aaine se bhi aankhe milaya na karo aaj tak aisi hasi cheez na dekhi hogi apni surat pe jo mar baithe to phir to phir kya hoga, to phir kya hoga tum to aaine se bhi aankhe milaya na karo tum to aaine se bhi aankhe milaya na karo dil na dene pe bahut naaj kiya karte ho apani surat pe bigad baithe to phir to phir kya hoga, to phir kya hoga tum akele to kabhi baag me jaya na karo tum akele to kabhi baag me jaya na karo