SONG: Tu Is Tarah Se Meri Zindagi Me Shaamil Hai (By Manhar) - तू इस तरह से मेरी ज़िंदगी में शामिल है

Tu Is Tarah Se Meri Zindagi Me Shaamil Hai (By Manhar) - तू इस तरह से मेरी ज़िंदगी में शामिल है

LYRICS:
tu is tarah se meri zindagi me shaamil hai tu is tarah se meri zindagi me shaamil hai jahaan bhi jaaun ye lagta hai, teri mehfil hai tu is tarah se meri zindagi me shaamil hai ye aasmaan ye badal ye raste ye hava ye aasmaan ye badal ye raste ye hava har ek chiz hai apni jagah thikane pe kai dino se shikayat nahi zamane se ye zindagi hai safar tu safar ki manzil hai jahaan bhi jaaun ye lagta hai, teri mehfil hai tu is tarah se meri zindagi me shaamil hai har ek phul kisi yad sa mahakata hai har ek phul kisi yad sa mahakata hai tere khayal se jagi hui fijaye hai ye sabj ped hai ya pyar ki duaae hai tu pas ho ki nahi fir bhi tu mukabil hai jahaan bhi jaaun ye lagta hai, teri mehfil hai tu is tarah se meri zindagi me shaamil hai har ek shay hai muhabbat ke nur se roshan har ek shay hai muhabbat ke nur se roshan ye roshni jo na ho zindagi adhuri hai rah-e-vafa me koi hamsafar zaruri hai ye rasta kahi tanha kate to mushkil hai jahaan bhi jaaun ye lagta hai, teri mehfil hai tu is tarah se meri zindagi me shaamil hai