SONG: Tu Aap Hai Apana Chor - तू आप है अपना चोर

Tu Aap Hai Apana Chor - तू आप है अपना चोर

LYRICS:
tu aap hai apna chor kaahe rapat kare kotwaali tu aap hai apna chor kaahe rapat kare kotwaali mukhda tera saahu jaisa manwa tera lutera mukhda tera saahu jaisa manwa tera lutera daya dharam ki gali kabhi na daala tune phera wahi bagicha luta tune wahi bagicha luta tune tha tu jiska maali kaahe rapat kare kotwaali tu aap hai apna chor kaahe rapat kare kotwaali ped lagaaya paap ka maange badale me naarangi ped lagaaya paap ka maange badale me naarangi laakh chhipaaye resham se kaaya teri nangi bhari rahegi teri tijori bhari rahegi teri tijori haath rahenge khaali kaahe rapat kare kotwaali tu aap hai apna chor kaahe rapat kare kotwaali tu samajhe tu bada sayaana main samajhu diwaana tu samajhe tu bada sayaana main samajhu diwaana sachche thaanedaar ko ab tak na pehchaana jis par baitha murakh jis par baitha murakh kaat raha wahi daali kaahe rapat kare kotwaali tu aap hai apna chor kaahe rapat kare kotwaali tu aap hai apna chor kaahe rapat kare kotwaali