Toot Gaya Ghar Tera (Male) - टूट गया घर तेरा
LYRICS:
toot gaya ghar tera chhut gaya hai sahara

ek aandhi aayi ek tufaan aayakhushiya uda le gaya

ab bhukh lagegi to tujhko kaun khilayenga
jab thand lage tujhko kaun aanchal udhayenga
ek aandhi aayi ek tufaan aayakhushiya uda le gaya
toot gaya ghar tera chhut gaya hai sahara
raat ko godi mein tujhko kaun sulayenga
nind se jagi to kaun lori sunayenga
dekh ke teri tadap aasman bhi rone laga