SONG: Teri Ankhe - तेरी आंखे

Teri Ankhe - तेरी आंखे

LYRICS:
in budhe pahado par kuch bhi to nahi badla in budhe pahado par in budhe pahado par kuch bhi to nahi badla in budhe pahado par sadiyo se giri barfe sadiyo se giri barfe aur un par barsti hai har saal nayi barfe in budhe pahado par ghar lagte hai kabaro se ghar lagte hai kabaro se khamosh safedi mein kutbe se tarkho ke na aab tha na dani na aab tha na dani alkhok ki wadi mein bhedo ki gayi jane kuch waqt nahi gujra nani ne bataya tha sarbsab dhalano par basti thi gadhriyo ki aur bhedo ke rewad the unche kosaro ke unche kosaro ke girte huye daman mein jangal hai chala jangal hai chala jangal hai chala sab laad se rahte the sab laad se rahte the jab dhup chamati thi kuchh aur dahakate hai har janaro mein aag lagne se marte hai hajaro mein in budhe pahado par in budhe pahado par kuch bhi to nahi badla in budhe pahado par chup chaap andhere mein akasar us jangal se ek bhediya aata tha ek bhed uthakar le jata tha jangal mein aur subah ko bas ek khal padi milti thi har sal umadta hai dariya pe barish mein ek daura sa padta hai dariya ko bahana hai ab ke tugayaniy mein kuch dub gaye ganv kuch gal gaye pani mein chadhati rahi kurbani bhedo ki gayi jane fir sare gadhariyo ne us bhediye ko dhundha aur maar ke laut aaye us subah ko jangal mein aur subah ko jangal mein do aur mili khale nani ki agar mane to bhediya jinda hai jayegi abhi jane jayegi abhi jane in budhe pahado par kuch bhi to nahi badla in budhe pahado par in budhe pahado par