SONG: Tere Kaaran Sabko Choda - तेरे कारण सबको छोड़ा

Tere Kaaran Sabko Choda - तेरे कारण सबको छोड़ा

LYRICS:
tere karan sabko chhoda preet nibhana ho main tere charno ki dasi bhul na jana ho duniya ne mujhe thukraya tune sambhala jakhmi dil par marham rakha dekha bhala bite din bite ab aaya naya jamana ho naya jamana ho main tere charno ki dasi bhul na jana ho andhiyara tha tune ghar mein diya jalaya dil ki ganga aur jamana ko tune milaya janam janam ka pyasa manwa pyas bujhana ho pyas bujhana ho ho janam janam ka pyasa manwa pyas bujhana ho pyas bujhana ho tere karan sabko chhoda preet nibhana ho main bhola bhatka sa tune rah dikhai aur mujhpar ulfat ki daulat tune lutai jivan sath banke ab hai jivan bitana ho jivan bitana tere karan sabko chhoda preet nibhana ho main tere charno ki dasi bhul na jana ho