SONG: Tere Bachapan Ko Javaani Ki Duaa Deti Hun - तेरे बचपन को जवानी की दुआ देती हूँ

Tere Bachapan Ko Javaani Ki Duaa Deti Hun - तेरे बचपन को जवानी की दुआ देती हूँ

LYRICS:
tere bachpan ko javani ki dua deti hu tere bachpan ko javani ki dua deti hu aur dua de ke pareshan si ho jati hu mere munne mere gulzaar ke nanhe paudhe tujhko haalat ki aandhi se bachane ke liye aaj mai pyar ke aanchal me chhupa leti hu kal ye kamazor sahara bhi na hasil hoga kal ye kamazor sahara bhi na hasil hoga kal tujhe kanto bhari raaho pe chalna hoga zindgani ki kadi dhup me jalna hoga tere bachapan ko javani ki dua deti hu aur dua de ke pareshan si ho jati hu tere mathe pe sharafat ki koi mohar nahi chand hote hain mohabbat ke sukun hi kya hai jaise mao ki mohabbat ka koi mol nahi jaise mao ki mohabbat ka koi mol nahi mere masuum farishte tu abhi kya jane tujhko kis kis ke gunaho ki saza milni hai din aur dharm ke mare hue insano ki jo nazar milani hai tujhako vo khafa milni hai tere bachapan ko javani ki dua deti hu aur dua de ke pareshan si ho jati hu bediya leke lapakta hua kanuun ka hath bediya leke lapakta hua kanuun ka hath tere ma-bap se jab tujhko mili ye saugat kaun laega tere vaste khushiyo ki barat mere bachche tere anjam se ji darta hai teri dushman hi na sabit ho javani teri kanp jati hai jise soch ke mamta meri usi anjam ko pahuche na kahani teri tere bachapan ko javani ki dua deti hu aur dua de ke pareshan si ho jati hu or dua de ke pareshan si ho jati hu