SONG: Tera Khayal Dil Se Mitaya Nahi Abhi - तेरा ख्याल दिल से मिटाया नहीं अभी

Tera Khayal Dil Se Mitaya Nahi Abhi - तेरा ख्याल दिल से मिटाया नहीं अभी

LYRICS:
tera khayal dil se mitaya nahi abhi bedard maine tujhko bhulaya nahi abhi tera khayal dil se mitaya nahi abhi bedard maine tujhko bhulaya nahi abhi kal tune muskura ke jalaya tha khud jise jalaya tha khud jise sine kaa wo charag bujhaya nahi abhi bedard maine tujhko bhulaya nahi abhi gardan ko aaj bhi teri baho ki yaad hai baho ki yaad hai chaukhat sey teri sar ko uthaya nahi abhi bedard maine tujhko bhulaya nahi abhi behosh hoke jald tujhe hosh aa gaya tujhe hosh aa gaya mai badnasib hosh me aaya nahi abhi bedard maine tujhko bhulaya nahi abhi