Taron Ki Zuban Par Hai Muhabbat Ki Kahani - तारों की ज़ुबाँ पर है मुहब्बत की कहानी
LYRICS:
taaro ki jubaan par hai muhabbat ki kahani
ae chand mubarak ho tujhe raat suhani
taaro ki jubaan par hai muhabbat ki kahani
ae chand mubarak ho tujhe raat suhani
kahte hain jise chandni hai nur-e-muhabbat
kahte hain jise chandni hai nur-e-muhabbat
taaro se sunehari hai hamesha teri kismat
ja jaake palat aati hai phir teri jawani
ae chand mubarak ho tujhe raat suhani
chhaya hua duniya pe muhabbat ka asar hai
chhaya hua duniya pe muhabbat ka asar hai
kahte hain jise chand mera dag-e-jigar hai
kahte hain jise chand mera dag-e-jigar hai
taaro se kaha karta hai ye dil ki kahani
ae chand mubarak ho tujhe raat suhani
ham ho na ho duniya yun hi aabaad rahegi
ham ho na ho duniya yun hi aabaad rahegi
ye thandi hava aur ye fija yaad rahegi
ye thandi hava aur ye fija yaad rahegi
rah jayegi duniya mein muhabbat ki nishani
ae chand mubarak ho tujhe raat suhani