SONG: Sutradhar (2) - सूत्रधार

Sutradhar (2) - सूत्रधार

LYRICS:
ek tha scientist nam uska khurana thoda sa bhulakkad thoda sa pagla pachhis sal se khoj raha tha divana budhe ko jawan banane kaa formula aao chale dekhe ye aankho dekha hal khurana ke formula ne kiya kaise kamal bas ek bund aur umar kam ho jaye pachhis sal badak kaa ban gaya dekho anda kamal formula kaa raj jante sirf khurana ke do hi khas ek secretary kavita dusra tota jo bolta jhakkas bolta tota aisa khilauna tha jiska kam khurana ko sab kuchh yad dilana tha par kavita aisi secretary thi jo karne wali khurana se gaddari thi khurana ki thi wish formula jaye bharat sarkar ko lekin kavita chali batane khurana ke judwe bhai underworld ke don ko don kaa bada beta baljit beiman aur lalach me tha inse miliye don ki dusri paidaish sunny north indian ghar me south indian dish shak hamesha don ko khata tha sunny uska beta nahi ho sakta ye khayal aata tha uski dono ki biwi marte huye shayad ye chah rahi thi kehna ke sunny uske aur unke padosi subramaniam ki ek bhul kaa hai gehna baljit ne kiya bap se dhokha diya chinese gang ko formula kharidne kaa mauka chinese gang ne diya pachas carode advance aur tin din me baljit ko formula dene kaa chance ab ye formula jhuth fareb ko rakhte hai side me aur luv story ko lete hai mind me college me padhta bhi aur cantin me karta kam bilkul simple chokra karan uska nam duniya me akela ekdum lonely cantin wala murgan to wahi uska family sirf sunny kya sara college tanya pe marta hai karan bhi to usse chhip chhip ke pyar karta hai is tarah huyi dosti ki shuruwat karan ne chaha kuchh aage kare bat birthday kaa bahana karke bulaya khane pe tanya bhi razi huyi dinner ke liye aane pe biryani banaya candle jalaya karan karne laga waiting pant kharida shirt laya tanya ne ki karan ki birthday shopping bas milne hi wale the ab dono ke man jab bitch me aa gaye sare vilain scientist ne dala formula tijori ke andar phir tijori kaa code bola tote ke bhitar tab aaya baljit formula pane gaddari apne chacha pe jatane baljit ko chakma deke scientist bhaga tota leke tab aaya baljit ke samajh me ke formula hai band tijori me aur band tijori kaa code hai bolte tote me baljit ne sab ko sath khicha aur kiya scientist kaa picha tab padi scientist ki najar tanya ke purse se giri huyi chizo pe kuchh reh gaya piche najdik jake dekha to credit card tha tanya kaa nam bhi likha tha niche aage jake tanya ko huwa ye ehsas ek insan hai pareshan jau uske pass soch ke aisa tanya ne gadi u turn me ghumayi aur phir dekh samne kaa najara wo buri tarah ghabrayi baljit ki bhi aankh ladki pe padi samajh gaya wo galti ho gayi badi ladki ne khun karte huye dekh liya hai usko pakadna padega abhi isse pehle ke wo bataye kisiko wohi dekha credit card scientist ke hath me jaan gaya tota hai kisi tanya ke sath me ab pakadna padega do ladkiyo ko ek hi rat me jiske pass hai tota aur jisne dekh hai khun hota dekh ke tanya ki photo ko baljit ke dimag ki khul gayi khidki jisne dekha khun aur jiske pass hai tota wo ek hi hai ladki darkar tanya gayi police station par waha pehle se hi baitha tha dushman chupke chupke tanya ne suni inspector aur baljit ki bat socha chodna padega usko apna ghar usi rat intzar karte karte thak gaya karan par uske ghar nahi aayi tanya uss rat to karan aaya tanya ke ghar socha ke aisi kya ho gayi bat honi ke is khel se karan tha anjan pahuncha tanya ke ghar par ho nahi saki usse mulakat tanya apne bhayi golu ko lekar nikal gayi rat ke andhkar me chodke karan ki luv story bitch majhdhar me us rat ke bad karan ne bahut dhundha idhar udhar left right kahi nahi mili tanya wo ho gayi out of sight is tarah lovers key bitch me ho gayi judayi kya phir aage mil payenge tum hi dekho bhayi