SONG: Suno Sunate Aaj Tumhe Hum Nehru Ji Amar Kahani - सुनो सुनाते आज तुम्हे हम नेहरु जी की अमर कहानी

Suno Sunate Aaj Tumhe Hum Nehru Ji Amar Kahani - सुनो सुनाते आज तुम्हे हम नेहरु जी की अमर कहानी

LYRICS:
suno sunate aaj tumhe hum nehru ji ki amar kahani nehru ji ki amar kahani chhodi jisne is dharti par, chhodi jisne is dharti par karam yog ki amit nishani nehru ji ki amar kahani maa ne ratan jawahar paya moti ko ek lal mila athrah solwa si chaudah november suraj ke sang uday hua, yug yug jiye mera raja sabke muh se nikli vani, nehru ji ki amar kahani aayu abhi the pandarh keval chala vilayat padhne ko desh prem le lauta par wo rajniti me padhne ko padi gulami ki janjire tod dalne ki thani nehru ji ki amar kahani, aazadi ka mol hai kya guru mantar ye gandhi ji se paya satya ahinsa shanti pyar aur manwata ko apnaya dekh kisano ka morcha ye hui angrejo ko hairani nehru ji ki amar kahani pandarh august san saintalish aazad tiranga lahraya apne hi hatho nehru ne lal kile par fahraya aayi kaam sahido ki aakhir me ek din kurbani nehru ji ki amar kahani sabka ho adhikar barabar parja tantar ki neev dhari panch sheel ki bani yojna, naye kam se bhari padi rakhwala ban majduro par rakhi sachi nigrani nehru ji ki amar kahani etam ke yug me bhi jisne shanti ka jhanda lahraya yudh nahi hoga apas me pyar se sabko samjhaya sabhi desho ne khule hariday se baat jawahar ki mani nehru ji ki amar kahani dharti kaapi aakash hila sahma samir yug badal gaya panch tatar se bana di ye panch tatav me sawar gaya pighal gaya himgir ka kaleja bilakh padi ganga maharani bilakh padi ganga maharani jis dharti ne apni god me nehru ko tha janam diya ab thi rakh us mitti ko de rin se uske urin hua amar katha ye gata rahega triveni ka paran pani triveni ka paran pani