SONG: Suni Pita Ki Aagya Dushman Ki Lalkar - सुनी पिता की आज्ञा दुश्मन की ललकार

Suni Pita Ki Aagya Dushman Ki Lalkar - सुनी पिता की आज्ञा दुश्मन की ललकार

LYRICS:
suni pita ki aagya dushman ki lalkar amarsingh ki myan se nikal padi talvar nikal padi talwar mayan se nikal padi talvar dharti hili hila ambar duniya me hahakar hua jab jaan hatheli me lekar ghode pe sher sawar hua khunkhar babbar shero se jag me rakhna acha bair nahi talwar ghumata amar chala ab jalim singh ki khair nahi ab jalim singh ki khair nahi vo bijli thi ya ghoda tha toofan tha jiski masti me bas ek kadam me jungle tha dusra kadam tha basti me kon karega raksha kon karega raksha ab jalim singh ke pran ki ham tumhe sunate katha rajsthan ki jai jai rajsthan jai bharat ki shaan veer pita ki veer kumari laad pyar se thi jo pali babul ka ghar chhod tihari ab apne sasural chali aaj vida ki bela me ja ke de uske uphar beti ke hatho me sopi dekho ek katar ye katar ki dhar kisi ke garam khun ki hai pyasi yaad dilane amar pratigya chali amar ki ye dasi chingari ab sulag uthi hai chingari ab sulag uthi hai nari ke apman ki ham tumhe sunate katha rajsthan ki jai jai rajsthan jai bharat ki shaan jai jai rajsthan jai bharat ki shaan