SONG: Sunate Aaj Tumko Hum Mahabharat - सुनाते आज तुमको, हम महाभारत

Sunate Aaj Tumko Hum Mahabharat - सुनाते आज तुमको, हम महाभारत

LYRICS:
sunate aaj tumko, hum mahabharat ki gatha sunate aaj tumko, hum mahabharat ki gatha hazaro varsh pahle, dekh lo ye desh kya tha yaha the veer adhbhut, randhir adhbhut wo pran ko paalte the, pahad uchalte the wo nar the aad wale, vilakshan maad wale wo jeena jante the, wo marna jante the pratapi nar se darkar, kaal muththi me bandha tha hazaro varsh pahle, dekh lo ye desh kya tha wo ek mahan yug tha bada balwan yug tha jagat tha daas apna padho itihas apna na din wo pyar ke the wo din talwar ke the yaha jab ran hua tha chakit tribhuvan hua tha hatheli par liye matha yaha har nar khada tha hazaro varsh pahle, dekh lo ye desh kya tha anokhi ye katha hai, badi isme jatha hai yaha bhagwan bhi the, yahi shaitan bhi the gajab ki yaariya thi prakhar chingariya thi naman hai aaj inko hai vandan aaj inko ke jinki jeet ka sansar me danka baja tha hazaro varsh pahle, dekh lo ye desh kya tha