SONG: Subha Na Aai, Shaam Na Aai - सुबह ना आई, शाम ना आई

Subha Na Aai, Shaam Na Aai - सुबह ना आई, शाम ना आई

LYRICS:
khushi jisne khoji wo dhan leke lota hansi jisne khoji chaman leke lota magar pyar ko khojne jo chala wo na tan leke lota na man leke lota subaha na aayi, sham na aayi subaha na aayi, sham na aayi jis din teri yaad na aayi, yaad na aayi subaha na aayi, sham na aayi kaisi lagan lagi ye tujhse, kaisi lagan ye lagi hansi kho gayi, khushi kho gayi aansu tak sab rahan ho gaye arthi tak nilam ho gayi, arthi tak nilam ho gayi duniya ne dushmani nibhayi, yaad na aayi subaha na aayi, sham na aayi tum mil jate to ho jati puri apni ram kahani khandhar taz mahal ban jata, ganga jal aankho ka pani sanso ne hathkadi lagayi, yaad na aayi subaha na aayi, sham na aayi jaise bhi ho, tum aa jao, jaise bhi ho, tum aa jao aa jao aa jao tum aa jao aag lagi hai tan me aur man me aag lagi hai tan me aur man me ek tar ki duri hai ek tar ki duri hai bas daman aur qafan me huyi mot ke sang sagayi, yaad na aayi aa jao, aa jao, aa jao, aa jao, aa jao, aa jao