SONG: Shrishti Thi Anjan, Vishav Tha Sunsan - सृष्टि थी अनजान, विश्व था सुनसान

Shrishti Thi Anjan, Vishav Tha Sunsan - सृष्टि थी अनजान, विश्व था सुनसान

LYRICS:
shrishti thi anjan, vishav tha sunsan aur vidhata ne kiya, iska ka naya nirmaan chandrma, chandrma ko de diya mangaly fir nav kamal madhur komalta ise di nav dhanush, nav dhanush aur teer ki di veerta patr ye vatvrichh ka, vatvrichh ki nirmaan kari shakti bhi bandh le, sab vishv ko wo bhakti bhi jab samaye gun sabhi, tab jagmagayi stree jab mile tab tatav, isme ban gayi ye stree ek aisi stree, ek din janmi pita vishwamitr ka tap tej le menka maa ka amar saundray le kintu dharti par padi wo shraap si ya kisi purnayaatma ki paap si jyot ye stree ki magar jalti rahi sapwan pachhi se wo palti rahi ek din rishi kanw ne aamod me ek anaathan ko uthaya god me hom ki jwala yaha jalti rahi yag mantro me sakun palti rahi