SONG: Shri Krishan Govind Gopalam - श्री कृष्ण गोविंद गोपालम

Shri Krishan Govind Gopalam - श्री कृष्ण गोविंद गोपालम

LYRICS:
shri krishn govind gopalam shri krishn govind gopalam jaga naya sawera andhiyara dhal gaya jaga naya sawera andhiyara dhal gaya tute jagat ke bandhan jivan badal gaya jaga naya sawera andhiyara dhal gaya apno ki moh maya jhuti barat ho sukh dukh ka ye kabila bande ke sath hai isko samjh ke bachna apne hi hath hai vedo ka sar isme chhoti si bat hai aankho ne jab ye parkha sankat hi tal gaya jaga naya sawera andhiyara dhal gaya chhal aur kapat me uljha phirta hai aadmi karta hai jag me jaisa bharta hai aadmi sab kuch samjh ke kuch na samjha hai aadmi jaye na sath kuch bhi jata hai aadmi socha jisne ye uska har pal sambhal gaya jaga naya sawera andhiyara dhal gaya jhute hai sare bandhan sanso ke tar ke rakh de re jag ka bojha jag me utar ke samshan ki chitaye kahti pukar ke aana yaha padega manav ko har ke unche gagan pe chad ke suraj bhi dhal gaya jaga naya sawera andhiyara dhal gaya tute jagat ke bandhan jivan badal gaya jaga naya sawera andhiyara dhal gaya