SONG: Sharamaa Ke Ye Kyu Sab Pardaanashin - शरमा के ये क्यूँ सब पर्दानशीं

Sharamaa Ke Ye Kyu Sab Pardaanashin - शरमा के ये क्यूँ सब पर्दानशीं

LYRICS:
sharma ke ye kyun sab pardanashi, sharma ke ye kyun sab pardanashi aanchal ko savara karta hai sharma ke ye kyun sab pardanashi aanchal ko savara karta hai sharma ke ye kyun sab pardanashi aanchal ko savara karta hai sharma ke ye kyun sab pardanashi aanchal ko savara karta hai aanchal ko savara karta hai, aanchal ko savara karta hai kuchh aise nazarwale bhi hai jo chup chup ke nazara karte hai kuchh aise nazarwale bhi hai jo chup chup ke nazara karte hai sharma ke ye kyun sab pardanashi aanchal ko savara karta hai betab nigaaho se kah do jalawo se ulajhna thik nahi jalawo se ulajhna thik nahi, jalawo se ulajhna thik nahi betab nigaaho se kah do jalawo se ulajhna thik nahi jalawo se ulajhna thik nahi aana sambhal ke pardanashino ke saamne jhukti hai zindagi bhi hasino ke saamne mahfil me husn ki jo gaya shaan se gaya jisne nazar milayi wahi jaan se gaya betab nigaaho se kah do jalawo se ulajhna thik nahi jalawo se ulajhna thik nahi, jalawo se ulajhna thik nahi ye naaz-o-ada ke matwala bemaut bhi maara karte hai ye naaz-o-ada ke matwala bemaut bhi maara karte hai sharma ke ye kyun sab pardanashi aanchal ko savara karta hai koi na hasino ko puchhe duniya me na ho gar dilwale duniya me na ho gar dilwale, duniya me na ho gar dilwale koi na hasino ko puchhe duniya me na ho gar dilwale duniya me na ho gar dilwale nazare jo na hoti to nazaara bhi na hota duniya me hasino ka guzaara bhi na hota nazaro ne sikhayi inhe shokhi bhi haya bhi nazaro ne banaya hai inhe khud bhi khuda bhi koi na hasino ko puchhe duniya me na ho gar dilwale duniya me na ho gar dilwale, duniya me na ho gar dilwale ye husn ki izzat rakhne ko har zulm gawara karte hai ye husn ki izzat rakhne ko har zulm gawara karte hai kuchh aise nazarwale bhi hai jo chup chup ke nazara karte hai chhede na mohabbat ke maare in chaand si surat walo ko in chaand si surat walo ko, in chaand si surat walo ko chhede na mohabbat ke maare in chaand si surat walo ko in chaand si surat walo ko arz kar do ye nuktaachino se ki rahe dur nazanino se agar ye khush ho to ulfat ka ahtaram kare agar zara bhi khafa ho to katl-e-aam kare chhede na mohabbat ke maare in chaand si surat walo ko in chaand si surat walo ko, in chaand si surat walo ko ye shokh nazar ke khanzar bhi seene me utara karte hai ye shokh nazar ke khanzar bhi seene me utara karte hai sharma ke ye kyun sab pardanashi aanchal ko savara karta hai