SONG: Shabaab E Raftaa Ki Ab Koi Yaadagaar Nahin - शबाब-ए-रफ़्ता की अब कोई यादगार नहीं

Shabaab E Raftaa Ki Ab Koi Yaadagaar Nahin - शबाब-ए-रफ़्ता की अब कोई यादगार नहीं

LYRICS:
shabaab-e-raftaa ki ab koi yaadagaar nahi bahaar me bhi wo ragini-e-bahaar nahi kabhi hayaat ki zaamin kabhi wasilaa-e-marg nigaah-e-dost teraa koi etabaar nahi bahaar asl me hoti hai dil ki shaadaabi nazar ke saamane jo kuchh hai wo bahaar nahi tere jamaal kaa jab tak na iznu mil jaaye kisi charaag ko jalane kaa ikhtiyaar nahi hayaat me koi tufaan aane wala hai bahut dino se koi mauj beqaraar nahi wo ab bhi mujhase hai naaraaz kya karun rana salaam karane ka unako gunaahagaar nahi