Sau Aasoon - सौ आँसू
LYRICS:
sau aansu roye do akhiyan sau aansu roye do akhiyan
mara hai jinhe nindo ne kabhi na soye wo akhiyan
dil ka musafir baat na mane mud mud dekhe raste purane
zid chhodta hi nahi nahi dekh raha hai kaanch ke sapne
ik na ik din hain jo tidakne ishq mein tuti chize jag mein
koi jodta hi nahi, dil jane na sau aasu roye do akhiyan
sau aasu roye do akhiyan mara hai jinhe nindo ne
kabhi na soye wo akhiyan wo ankhiya
jane wala jane nahi jane se uske jaan gayi
aate jate phir wo dikhe palko ne chhane mod kayi
guzra hua pal guzra nahi uska laga rang utra nahi
hotho se chhuti nahi gaye saajan ki batiyan
sau aansu roye do akhiyan sau aansu roye do akhiyan
mara hai jinhe nindo ne kabhi na soye wo akhiyan
kaise koi roke bhala hath lakeere chhod gayi
laakho dil ke tukde kiye dhadkan ko bhi tod gayi
kabhi theharega dard kahin koi gunjaish dikhti nahi
chanda bin jiya na lage jal kajal si ratiyan
sau aansu roye do akhiyan sau aansu roye do akhiyan
mara hai jinhe nindo ne kabhi na soye wo akhiyan
sau aansu roye sau aansu roye do akhiyan
sau aansu roye do akhiyan sau aansu roye
mara hai jinhe nindo ne kabhi na soye wo akhiyan