SONG: Salaam Lo Na Lo (2) - ये राज़ हुस्न का परदे में अभी रहने दो

Salaam Lo Na Lo (2) - ये राज़ हुस्न का परदे में अभी रहने दो

LYRICS:
ye raaz husn ka parde me abhi rahne do ye raaz husn ka parde me abhi rahne do najar najar se dil ko dil ki baat kahne do sambhalo khud ko bekhudi na had se badh jaye na dil ko shauk-e-tamanna ke ro me bahne do ye pyar kya hai janeman ye mohabbat kya hai kisi ke pyar me lut jane ki aadat kya hai kisi ke husn ko tumne jo khuda maan liya to pahle ye to jaan lo ke ibadat kya hai gulam husn khud bane kuch aisa kaam karo gulam husn khud bane kuch aisa kaam karo kiya hai ishq to, na ishq ko badnam karo kiya hai ishq to kiya hai ishq to, na ishq ko badnam karo salam lo na lo, gulam main tumhara hu salam lo na lo dikha ke jalwe husn dil ko bekarar kare dikha ke jalwe husn dil ko bekarar kare sikhaye humko pyar karna humse pyar kare hansi hansi me koi hosh uda de aise to koi kaise bhala khud pe akhtiyar kare kahin bhi chain nahi, ab kahin karar nahi begair tere ye bahar khushgwar nahi meri bahar, mera pyar sabhi kuch tu hai tere siwa mujhe kisi ka intzar nahi bhatak raha jo gardisho me wo sitara hu bhatak raha jo gardisho me wo sitara hu tumhare husn tumhari ada ka mara hu salam lo na lo, gulam main tumhara hu salam lo na lo, gulam main tumhara hu salam lo na lo, gulam main tumhara hu