SONG: Sakshi Rehna Dharti Mata - साक्षी रहना धरती माता

Sakshi Rehna Dharti Mata - साक्षी रहना धरती माता

LYRICS:
sakshi rahna dharti maata he yamune he gange aaj dropadi dekh rahi ye purush hai kitne nange are papiyo are papiyo pap tumhara tumko hi kha jayega naari ka apmaan kare jo wo samaj mit jayega are papiyo baithe dekho pathar bankar maharathi ye sare sunte hai brahmand kaapta unke dar ke mare hai koi maa ka lal hai koi maa ka lal yaha jo dusto ko lalkare chikh rahi hai bahan tumhari beti tumhe pukare kaun khara hai kaun khota aaj ye parkha jayega are papiyo, are papiyo sunlo sau putro ki mata tum bhi ho ek naari ek bar to mujhko dekho mai kul vadhu tumhari dekho bikhre bal ye dekho bikhre bal ye mere meri ye lachari ab to aankh ki patti kholo ab mata gandhari tumse in andho ka ye andher na dekha jayega are papiyo, are papiyo kan khol kar suno sati ki laz lutne walo kuch din aur nirlazzo apna nacha dikha lo dekh rahi mai dur disha me mahanash ki jwala pahnegi nar chandi ek din nar mundo ki mala ud jayenge raajmahal ye mit jayegi chahal pahal ye ud jayenge raajmahal ye mit jayegi chahal pahal ye nahi rahega ye sighaasan, nahi rahega ye duryodhan ye bhishan anyay aaj ka khun se dhoya jayega nari ka apman kare jo wo samaj mit jayega are papiyo pap tumhara tumko hi kha jayega nari ko apman kare jo wo samaj mit jayega are papiyo