SONG: Saare Niyam Tod Do Niyam Pe Chalna Chod Do (Part 2) - सारे नियम तोड़ दो नियम पे चलना छोड़ दो

Saare Niyam Tod Do Niyam Pe Chalna Chod Do (Part 2) - सारे नियम तोड़ दो नियम पे चलना छोड़ दो

LYRICS:
saare niyam tod do niyam pe chalna chhod do arre saare niyam tod do niyam pe chalna chhod do inqilaab zindabaad, inqilaab zindabaad aap bhi boliye inqilaab zindabaad, inqilaab zindabaad khaao piyo mazaa karo khilkhilaa kar hansaa karo kal ki chintaa karenge kal aaj ko aaj hi jiyaa karo isliye saare niyam tod do niyam pe chalna chhod do arre saare niyam tod do niyam pe chalna chhod do inqilaab zindabaad, inqilaab zindabaad, bolo inqilaab zindabaad, inqilaab zindabaad dinke chaubees ghanton mein aath ghante hain sone ke aur chaar hain khaana peenaa do hain rone dhone ke kuchh kapde badal ke katate hain kul baaki chhe hi bachte hain in mein kitna kaam kare khelein yaa aaraam karen isliye saare niyam tod do niyam pe chalna chhod do arre saare niyam tod do niyam pe chalna chhod do inqilaab zindabaad, aap bhi to bolo inqilaab zindabaad, inqilaab zindabaad jis baat mein aanand mile wo karne mein harz nahin har cheez yahaan par mahangi hai har cheez ka chadhtaa paaraa hai bhaade se unchi building mein building se uncha bhaadaa hai jis baat mein aanand mile wo karne mein harz nahin har cheez jahaan par mahangi ho hansne par kharch nahin isliye saare niyam tod do niyam pe chalna chhod do arre saare niyam tod do niyam pe chalna chhod do inqilaab zindabaad, aap bhi bolo inqilaab zindabaad, inqilaab zindabaad bol inqilaab zindabaad saare niyam tod do niyam pe chalna chhod do