SONG: Roshan Jamaal E Yaar Teri Anjuman Tamaam - रोशन जमाल-ए-यार तेरी अंजुमन तमाम

Roshan Jamaal E Yaar Teri Anjuman Tamaam - रोशन जमाल-ए-यार तेरी अंजुमन तमाम

LYRICS:
roshan jamaal-e-yaar teri ajuman tamaam dahakaa huaa hai aatish-e-gul se chaman tamaam hairat gurur-e-husn pe shokhi se iztaraab dil ne bhi tere sikh liye hai chalam tamaam allaa re jism-e-yaar ki khubi ke khud-ba-khud raginiyo me dub gayaa pairahan tamaam dekho to husn-e-yaar ki jaadu-nigaariyaan behosh ik nazar me huyi ajuman tamaam