SONG: Rate Thi Chandni Joban Par Thi Bahar - रातें थी चांदनी जोबन पे थी बहार

Rate Thi Chandni Joban Par Thi Bahar - रातें थी चांदनी जोबन पे थी बहार

LYRICS:
raate thi chandani joban pe thi bahaar raate thi chandani joban pe thi bahaar baago me phul jhum rahe the khushi ke sath hansta tha paat paat itne me ek bhanvre ki pyaasi nigaah ne dekha jo dur se itne me ek bhanvre ki pyaasi nigaah ne dekha jo dur se ke phul jhum jhum ke hansta tha baar baar joban pe thi bahaar raate thi chandani joban pe thi bahaar udta hua machalta hua aa gaya waha phulo ke aas paas udta hua machalta hua aa gaya waha phulo ke aas paas kuch geet gungunake sunane laga use ulfat se pyaar ke dekha jo chand ne ye tamsaha tadap gaya badal me chhip gaya dekha jo chand ne ye tamsaha tadap gaya badal me chhip gaya bhanvre ka pyaar dekh ke sharma gaya gulaab sar ko jhuka diya phulon ki is adaa pe use pyaar aa gaya phulon ki is adaa pe use pyaar aa gaya bhanvre ne badhke phul ko dil se laga liya bhanvre ne badhke phul ko dil se laga liya joban pe thi bahaar raate thi chandani joban pe thi bahaar ek roz kya hua khamosh thi fiza ek roz kya hua khamosh thi fiza aakash par na chaad na taare na chandni yaani thi dopahar bhanvre ki narm god me soya hua tha phul duniya se bekhabar bhanvre ki narm god me soya hua tha phul duniya se bekhabar bhanvra chura ke aankh nihayat safaai se haule se uth gaya phulo me jitna ras tha vo chori se pi gaya chupke se ud gaya angdaai le ke phul utha jab hawa chali angdaai le ke phul utha jab hawa chali dekha to uski mast jawani thi lut chuki joban pe thi bahaar raate thi chandani joban pe thi bahaar