SONG: Raat Kee Mehfil Sunee Sunee - रात की महफ़िल सूनी सूनी

Raat Kee Mehfil Sunee Sunee - रात की महफ़िल सूनी सूनी

LYRICS:
raat ki mahfil suni suni, aankhe puranam dil nakam sahame sahame aramano ka, hona hi tha yeh anjam raat ki mahfil suni suni bhul gaye the apani hasti, tujhako vafa ke josh me ham sab kuchh khokar bebas hokar, abb aaye hain hosh me ham kaise rah gaye dil ke armaan, tuta saaki tuta jaam hona hi tha yeh anjaam raat ki mahfil suni suni sar ko jaha takraaye jaake, aisi koyi divaar nahi haaye ri kismat ham duniya me, pyaar ke bhi hakdaar nahi dil hota jo apane bas me, lete naa ham pyaar kaa naam hona hi tha yeh anjaam raat ki mahfil suni suni, aankhe puranam dil nakam sahame sahame aramano ka, hona hi tha yeh anjam