SONG: Raat Aati Hai To Har Dard Chamak Uthata Hai - रात आती है तो हर दर्द चमक उठता है

Raat Aati Hai To Har Dard Chamak Uthata Hai - रात आती है तो हर दर्द चमक उठता है

LYRICS:
rat aati hai to har dard chamak uthata hai aaj ki rat bhi aankho me gujar jayegi aasma chup hai fija chup hai sitare chup hai dil dhadakne ke siva koi bhi aawaz nahi koi dastak hai na aahat hai na kadmo ki sada rat ke hath me is wqat koi saz nahi koi saz nahi aaj ki rat bhi aankho me gujar jayegi dard aur dard bhi dasti huyi tanhai ka aisa lagta hai ke jina bhi saza ho jaise kitni bojhal hai fija sans ghuti jati hai ek pathar hai ke sine pe dhara ho jaise aaj ki rat bhi aankho me gujar jayegi rat aati hai to har dard chamak uthata hai kabhi lagta hai isi hal me jina hoga aur kuch din mere jine ka yahi taur sahi kabhi kahta hai ye khamosh andhera mujhse ek gunah aur sahi aur sahi aur sahi ek gunah aur sahi aur sahi aur sahi ek gunah aur sahi aur sahi aur sahi