SONG: Qismat Banane Wale Zara Samane To Aa - क़िस्मत बनाने वाले ज़रा सामने तो आ

Qismat Banane Wale Zara Samane To Aa - क़िस्मत बनाने वाले ज़रा सामने तो आ

LYRICS:
kismat banane wale kismat banane wale zara samane to aa mai tujhko ye bataun ke duniya teri hai kya duniya teri hai kya mai tujhko ye bataun ke duniya teri hai kya duniya teri hai kya lakho musibate hai garibo ki jaan par shikwa nahi hai phir bhi kisi ki zaban par aaja zami pe so gaya kyun asman par ankho se aa kar dekh jo sunta nahi sada kismat banane wale kismat banane wale zara samane to a mai tujhko ye bataun ke duniya teri hai kya duniya teri hai kya kyun diljalo ki aah ka tujh par asar nahi kya tere pas dekhne wali nazar nahi jalta hai ghar mera tujhe ye bhi khabar nahi ye hal hai to kyun na kahun tujhko bewafa kismat banane wale kismat banane wale zara samne to a mai tujhko ye bataun ke duniya teri hai kya duniya teri hai kya kyun duniya ham garibo ki barbad gam se hai tu hai khafa to rutha hua dil bhi ham se hai bhagawan tere nam hamare hi dam se hai ham mit gaye to nam bhi mit jayega tera