SONG: Pyaas Kuchh Aur Bhi Bhadka Di Jhalak Dikhla Ke - प्यास कुछ और भी भड़का दी झलक दिखला के

Pyaas Kuchh Aur Bhi Bhadka Di Jhalak Dikhla Ke - प्यास कुछ और भी भड़का दी झलक दिखला के

LYRICS:
pyaas kuchh aur bhi bhadka di jhalak dikhlake tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga itni gustakh na ho ishq ki aavara nazar husn ka pas nigaho ko sikhana hoga tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga husn ka pas nigaho ko sikhana hoga chand taro ko mayassar hai nazara tera meri betab nigaho se ye parda kyo hai chand aayina mera tare mere naqsh-e-kadam gair ko ankh milane ki tamanna kyo hai tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga husn ka pas nigaho ko sikhana hoga tujhko dekha tujhe chaha tujhe puja maine bas yahi isake siva meri khata kya hogi hamne achaa kiya ghabra ke jo munh pher liya isse kam dil ki tadapne ki saza kya hogi tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga husn ka pas nigaho ko sikhana hoga pyas kuchh aur bhi bhadka di jhalak dikhlake tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga itni gustakh na ho ishq ka avara nazar husn ka pas nigaho ko sikhana hoga pyas kuchh aur bhi bhadka di jhalak dikhala ke tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga chand me nur na taro me chamak baqi hai ye andhera meri duniya ka mitana hoga ai mujhe hijr ki rato me jaganevale ja kabhi nind judai me na ayegi tujhe subah tapakegi teri ankh se ansu banake rat sine ki kasak ban ke jagayegi tujhe tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga ye andhera meri duniya ka mitana hoga koi araman hain na hasarat hai na ummide hai ab mere dil me muhabbat ke siva kuchh bhi nahi ye muqaddar ki kharabi ye zamane ka sitam bevafa teri inayat ke siva kuchh bhi nahi tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga ye andhera meri duniya ka mitana hoga pyas kuchh aur bhi bhadka di jhalak dikhala ke tujhko parda rukh-e-roshan se hatana hoga